Huzoor Taj Ush Shariah…..Aik Taarruf
Written By: Muhammad Danish Ahmed Akhtar ul Qadiri, Karachi, Pakistan.
Translae by: Fazal-e-Ahmed Akhtar ul Qadri
Taarreek e islam men aisy bay shumaar naam mehfooz hen jin k kaar haay numayaan rehti dunya tak yaad rakkhy jaaen gy lekin jab zikr syeduna alahazrat imam ahmad raza barailvi ka aa jaay to taareekh dhoondti hy k un jaisa doosra koi aik he usy apny daaman men mil jaay.koi kisi fan ka imam hy to koi koi kisi ilm ka mahir lekin syeduna alahazrat har ilm,har fan k aftab o mahtab hen.
Jis samt dekhyay wo ilaqa raza ka hy.
Syedna alahazrat imam ahmad raza barailvi aik baliagh nazar mufti bhi hen aik mumtaz faqeeh bhi,tafseer o hadees k imam bhi hen,sarf o nahw badsha bhi,wo muhaqqiq bhi hen moarrikh bhi,mufakkir bhi hen mudabbir bhi,adeeb bhi hen shair bhi,munazir bhi hen musannif bhi,siyasat daan bhi hen mahir e iqtisadiyaat bhi,tabeeb bhi hen or sains daan bhi hen,muallim bhi hen muallim saaz bhi,ashiq e mustafa bhi hen or ushshaq k qafila salaar bhi,mujtahid bhi hen mujaddid bhi,haq k alam bardaar bhi hen or haq ki pehchan bhi.kis kis khoobi ka zikr kia jaay,kin kin khidmaat ko yaad kia jaay.khaliq e mutlaq ny imam ahmad raza barailvi ko qadeem o jadeed tamam uloom o fanoon ka imam banaya.sirf aap ki natiya deewan”hadaiq e bakhshish” he men 215 uloom sy mutaalliq ashaar maujood hen.
(fan e shairi or hassan ul hind.p.287)
Jahan malik e qadeer ny aap ko naam war aaba o ajdaad or muazziz o muqaddas qabeela men paida farmaya wahen aap ki aulaad or khandaan men bhi bay shumaar bay misaal o la jawab afraad paida farmaay.ustad e zaman,hujjat ul islam,mufti e azam,mufassir e azam,hakeem ul islam,rehan e millat,sadr ul ulama,ameen e shariat(razi allahu anhum)jis kisi ko dekh lijyay har aik apni misaal aap hy.unhi men aik naam sar sabz o shadaab bagh e raza k gul e shagufta,raushan raushan falak e raza k naiyar e tabaan qazi ul quzzat fil hind,janasheen e mufti e azam,huzoor taj ush shariah hazrat ul alaam mufti muhammad akhtar raza khan qadiri azhari alaihir rahmah ka bhi hy.
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah mufassir e azam hind hazrat allama mufti muhammad ibraheem raza khan qadiri jeelani k lakht e jigar,sarkar mufti e azam hind allama mufti mustafa raza khan qadiri noori k sachchy janasheen,hujjat ul islam hazrat allama mufti muhammad hamid raza khan qadiri razavi k mazhar or syedi alahazrat imam ahl e sunnat mujaddid e deen o millat ash shah imam ahmad raza khan qadiri barakati barailvi ki barakaat o fuyoozaat ka mamba or un k uloom o rawayaat k waris o ameen hen.(razi allahu anhum)
In azeem nisbaton ka faizan aap ki shakhsiyat men ausaf e hameeda or akhlaq e kareemana ki soorat men jhalak raha hy.ustaz ul fuqaha hazrat allama mufti abdur raheem sahib bastavi alaihir rahmah huzoor taj ush shariah alaihir rahmah par in azeem hastiyoon k faizan ki barishon ka tazkira in alfaz men karty hen:
“sab he hazraat e girami k kmalaat e ilmi o amali sy aap ko giraan qadr hissa mila hy.fehm o zaka,quwat e hafiza o taqwa syedi alahazrat sy,joodat e taba o maharat e tammah(arabi adab men)huzoor hujjat ul islam sy,fiqh men tabahar o asabat sarkar mufti e azam hind sy,quwat e khitabat o bayan walid e zee waqar mufassir e azam hind sy yani wo tamam khoobyan aap ko warasatan hasil hen jin ki rahbar e shariat o tareeqat ko zaroorat hoti hy.”
(pesh guftaar shrah hadees e niyat.p.4)
Wiladat ba saadat:
Hzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki wiladat ba saadat 24 zww qaada 1362.h/23 november 1943.e baroz mangal hindustan k sheher baraili shareef k muhalla saudagraan men hoi.
Ism e girami:
Aap ka ism e girami”muhammad ismail raza”jab k urfiyat ”akhtar raza” hy.aap ”akhtar” takahallus istimal farmaty thy.aap k alqabaat men taj ush shariah,janasheen e mufti e azam,shaikh ul islam wal muslimeen ziyada mashhoor hen.
Shajrah e nasab:
Alahazrat imam ahl e sunnat tak aap ka shajrah e nasab yon hy.muhammad akhtar raza khan qadiri azhari bin muhammad ibraheem raza khan qadiri jeelani bin muhammad hamid raza khan qadiri razavi bin imam ahmad raza khan qadiri barakati barailvi.(razi allahu anhum)
Aap k 4 bhai or 3 behnen hen.2 bhai aap sy barry hen.rehan e millat maulana rehan raza khan qadiri or tanveer raza khan qadiri (aap bachpan he sy jazb ki kaifiyat men gharq rehty thy bil aakhir mafqood ul khabar ho gaay)or 2 aap sy choty hen.dr.qamar raza khan qadiri or maulana mannan raza khan qadiri.
Taleem o tarbiyat:
Janasheen e mufti e azam huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki umr shareef jab 4 saal 4 maah or 4 din hoi to aap k walid majid mufassir e azam hind hazrat ibraheem raza khan jeelani alaihir rahmah ny taqreeb e bismillah khwani munaqid ki.is taqreeb e saeed men yadgaar e alahazrat ”darul uloom manzar e islam” k tamam talaba ko dawat de gai.rasm e bismillah nana jaan tajdaar e ahl e sunnat sarkar mufti e azam hind muhammad mustafa raza khan noori alaihir rahmah ny ada karai.huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ny ”nazira quran e kareem” apni walida majida shazadi e mufti e azam sy ghar par he khatm kiya.walid majid sy ibtidaai urdu kutub parrhen.is k baad walid buzurgwaar ny “darul uloom manzar ul islam” men dakhil kara diya.dars e nizami ki takmeel aap ny ”manzar ul islam” sy ki.murwajja dunyavi taleem ”islamia inter collage” baraili shareef sy hasil ki.is k baad 1963 men huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ”jamia tul azhar” qahira misr tashreef ly gaay.wahan aap ny ”kulliya usool ud deen” men dakhila liya or musalsal 3 saal tak”jamia azhar” misr k fan e tafseer o hadees k mahir asatizah sy iktisaab e ilm kiya.taj ush shariah 1966.e/1386.h men jamia tul azhar sy farigh howy.apni jamaat men awwal pozishan hasil karny par aap ”jamia azhar award” sy nawazy gaay.award or sanad e faraghat misr k us waqt k sadar karnal jamal abdul nasir ny de.
(ba hawala:mufti azam hind or un k khulafa/safha:150/jild:01(ma tarmeem)wa sawanih e taj ush shariah/safha:20)
Asatiza kiram:
Aap k asatiza kiram men huzoor mufti e azam ash shah mustafa raza khan noori barailvi,bahr ul uloom hazrat mufti syed muhammad afzal husain razavimongeri,mufassir e azam hind hazrat mufti muhammad ibraheem raza jeelani razavi barailvi,fazeelat ush shaikh allama muhammad samahi,shaikh ul hadees wat tafseer jamia azhar qahira hazrat allama mualana mahmood abdul ghaffar,ustaz ul hadees jamia azhar qahira,rehan e millat qaid e azam mulana muhammad rehan raza rahmani razavi barailvi,ustaz ul asatizah maulana mufti muhammad ahmad urf jahangeer khan razavi azami,sadr ul ulama allama tahseen raza khan barailv,hafiz inamullah khan tasneem hamidi rahimahumullah k asmaay girami shamil hen.
{mufti azam hind or un k khulafa/safha:150/jild:01(maa tarmeem)}
azdawaji zindagi:
Janasheen e mufti e azam ka aqd e masnoon”hakeem ul islam maulana hasnain raza barailvi alaihir rahmah” ki dukhtar e nek akhtar k sath 3 november 1968.e/shaban ul muazzam 1388.h baroz itwar ko muhalla “kaankar tola sheher kuhna baraili”men howa.
Aulaad amjaad:
Aap k aik sahib zada makhdoom e girami maulana mufti munauwar raza mahamid al maroof asjad raza khan qadiri barailvi or 5 sahib zadiyaan hen.
Dars o tadrees:
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ny tadrees ki ibtida “darul uloom manzar e islam baraili”sy 1967.e men ki.1978.e men aap darul uloom k sadar mudarris or “razavi darul ifta” k sadar mufti k uhdy par faaiz howy.dars o tadrees k sislia 12 saal jari raha lekin huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki kaseer masroofiyat k sabab yeh silsila mustaqil jari na reh saka.lekin yeh silsila mukammal khatm bhi na howa,aap baad men bhi “markazi darul ifta baraili shareef”men “takhassus fil fiqh”k ulama e kiram ko “rasm ul mufti” “ajlil aalaam”or “bukhari shareef” ka dars dety rahy.
Baiaat o khilafat:
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ko baiaat o khilafat ka sharaf sarkar mufti e azam hind ny bachpan he men aap ko baiaat ka sharaf ata farma diya tha or sirf 19 saal ki umr men 15 january 1962.e/08 shaban 1381.h ko aik khusoosi mehfil men tamam salasil ki ijazat sy nawaza.ilawa azeen aap ko khalifa e alahazrat burhan e millat hazrat mufti burhan ul haq jabal poori,syed ul ulama hazrat syed shah aal e mustafa barakati marehrahvi,ahsan ul ulama hazrat syed hyder hasan miyan barakati,walid majid mufassir e azam allama mufti ibraheem raza khan qadiri alaihim ur rahmah sy bhi jamie salasil ki ijazat o khilafat hasil hy.
(tajalliyat e taj ush shariah/safha:149)
Bargah e murshid men maqaam:
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ko apny murshid e bar haq shazada e alahazrat tajdaar e ahl e sunnat imam ul mashaikh mufti azam hind abul barakaat aal e rahman hazrat mufti muhammad mustafa raza khan noori alaihir rahmah ki bargah men bhi buland maqaam hasil tha.sarkar mufti e azam alaihir rahmah ko aap sy bachpan he sy bay intaha tawaquaat wabasta then jis ka andaza un k irshadat e aaliya sy lagaya ja sakta hy jo mukhtalif mawaqie par aap ny irshad farmaay:
“is larrky(huzoor taj ush shariah) sy bohat umeed hy.”
Sarkar mufti e azam hind alaihir rahmah ny darul ifta ki zimma daari aap ko sonpty howy farmaya:
“akhtar miyan ab ghar men baithny ka waqt nahin,yeh log jin ki bheerr lagi hoi hy kabhi sakoon sy baithny nahin dety,ab tum is kaam ko anjam do,main tumhary supurd karta hon.”
Logon sy mukhatib ho kar mufti azam alaihir rahmah ny farmaya:
“aap log ab akhtar miyan sallamahu sy ruju karen unhen ko mera qaaim maqaam or janasheen jaanen.”
Huzoor mufti e azam razi allahu anhu ny apni hayat e mubarika k aakhiri daur men huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ko tehreeran apna qaaim maqaam o janasheen muqarrar farmaya tha.us mubarak tehreer ka aks mulahiza farmaen.
Fatwa naweesi:
1816.e men roheela hakoomat khatima “baraili shareef” par angrezon k qabza or hazrat mufti muhammad aiwaz sahib k “rohelkhand baraili”sy “tonak” tashreef ly jaany k baad baraili ki masnad e ifta khali thi.aisy nazuk or pur aashob daur men iamam ul ulama allama mufti raza ali khan naqshbandi alaihir rahmah ny baraili ki masnad e ifta ko raunaq bakhshi.yahen sy kahnwada e razaviya men fatwa nawesi ki azeem us shan riwayat ki ibtida hoi.
(ba hawala:maulana naqi ali khan alaihir rahmah hayat or ilmi o adabi karnaamy/safha78)
Lekin majmooa fatawa baraili shareef men aap ki fatwa nawesi ki ibtida 1831.e likhi hy.(ghaliban darmiyani arsa angrez qabizon ki resha dawaniyon k sabab masnad e ifta khali he rahi)al hamdu lillah!1831.e sy aaj 2018.e tak yeh taab naak silsila jari o sari hy.yaani kahndaan e razavia men fatawa nawesi ki eman afroz riwayat 187 saal sy musalsal chali aa rahi hy.imam ul fuqaha hazrat allama mufti muhammad raza ali khan qadiri barailvi,imam ul mutakallimeen hazrat allama maulana muhammad naqi ali khan qadiri barakati,alaharat mujaddid e deen o millat hazrat allama mulana mufti muhammad ahmad raza khan qadiri barakati,shazada e alahazrat hujjat ul islam jamal ul anaam hazrat allama mufti mhammad hamid raza khan qadiri razavi,shazad e alahazrat tajdaar e ahl e sunnat mufti e azam hind allama maulana mufti muhamamd mustafa raza khan qadiri noori,nabira e alahazrat mufassir e azam hind hazrat allama mufti ibraheem raza khan qadiri razavi or un k baad qazi ul quzzaat fil hind taj ush shariah hazrat allama maulana mufti akhtar raza khan qadiri azhari alaihim ur rahmah 1967.e sy ta dam e wisal (20 july 2018.e) tak taqreeban 51 saal tak yeh azeem khidmat ba husn o khoobi sar anjaam dety rahy.
(ba hawala:fatawa baraili shareef/safha:22(maa tarmeem))
Allah kareem khanwada e razavia ki is azeem riwayat ko janasheen e taj ush shariah hazrat allama mufti muhammad asjd raza khan al maroof achchy miyan daam zillahu alaina k zariah ta deer qaaim rakkhy.aameen.
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah khud apni fatwa nawesi ki ibtida sy mutaaliiq farmaty hen:
“main bachpan he syhazrat(mufti e azam) sy dakhil e silsila ho gaya hon,jamia azahar sy wapsi k baad main ny apni dil chaspi ki bina par fatwa ka kaam shuru kiya.shuru shuru men mufti syed afzal husain sahib alaihir rahmah or doosry muftiyan e kiram ki nigrani men kaam yeh kaam karta raha.or kabhi kabhi hazrat (mufti e azam alaihir rahmah) ki khidmat men hazir ho kar fatwa dikhaya karta tha.kuch dinon k baad is kaam men meri dil chaspi ziyada barh gai or phir main mustaqil hazrat ki khidmat men hazir hony laga.hazrat ki tawajah sy mukhtasar muddat men is kaam men mujhy wo faiz hasil howa jo kisi k paas muddaton baithny sy bhi nahin hota.”
(mufti e azam hind or un k khulafa:safha:150/jild:01)
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah k fatawa saary aalam men sanad ka darja rakhty hen.wo daqeeq o pecheeda masail jo ulama or muftiyan e kiram k darmiyan mukhtalif feh hon un men hazrat k qaul ko he faisal tasleem kiya jata tha or jis fatwa par aap ki mohr e tasdeeq sabt ho khawaas k nazdeek bhi wo intahai motabar hota tha.huzoor taj ush shariah alaihir rahmah k fatawa sy mutaalliq jigar gosha e sadr ush shariah muhaddis e kabeer hazrat allama mufti ziya ul mustafa azami daamat barakatuhum ul aalia raqam taraaz hen:
“taj ush shariah k qalam sy nikly howy fatawa k mutaliah sy aisa lagta hy ham alahazrat imam ahmad raza k tahreer parh rahy hen aap ki tahreer men dalail or hawala jaat ki bhar maar sy yahi zahir hota hy.”
(hayat e taj ush shariah/safhal:66)
Haj o ziyarat:
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ny pehli martaba haj o ziyarat ki saadat 1403.h/1983.e men hasil ki.doosri martaba 1405.h/1985.e or teesri martaba 1406.h/1986.e men is saadat e uzma sy musharraf howy.jab k chauthi martaba 1429.h/2008.e men,paanchwen martaba 1430.h/2009.e men,chati martaba 1431.h/2010.e men aap ny haj e baitullah ada farmaya.nez mutaadid martaba aap ko sarkar e aali waqar sallallahu alaihi wa aalihi wasallam ki bargah e bay kas panah sy umra ki saadat bhi ata hoi.
Ailaay kalimat ul haq:
Ahqaaq e haq wa abtaal e batil,khanwada e razavia ki un sifat men sy hy jis ka aitiraaf na sirf apnon bal k bay gaanon ko bhi karna parra.yahan haq k maqaabil na apny paraay ka farq rakkha jata hy na ameer o ghareeb ki tafreeq ki jati hy.syedi alahazrat alaihir rahmah ka daur to tha he fitnon ka daur har taraf kufr o ilhaad ki aandhiyan chal rahi then lekin alam bardaar e haq syedi alahazrat alaihir rahmah ny kabhi batil k saamny sar na jhukaya chahy zibh e gaay ka fitna ho ya hindu muslim ittihad ka,tehreek tark e mawalaat ho ya tehreek e khilafat yeh mard e momin awaza e haq buland karta he raha.sarkar mufti e azam alaihir rahmah ki haq goi o bay baki bhi tareekh ka darakhshinda baab hy.shudhi tehreek ka zamana ho ya nas bandi ka pur khatar daur ho aap ny alam e haq kabhi sarnigon na hony diya.allah rabbul izzat ny janasheen e mufti e azam alaihir rahmah ko apny aslaaf ka par tau banaya.aap ki haq goi o bay baki bhi qabil e taqleed hy.wqti maslihaten,taan o tashnie,masaib o aalaam yahan tak k qaid o band ki saobaten bhi aap ko raah e haq sy na hata saken.aap ny kabhi ahl e sarwat ki khoshi ya hakomati munsha k mutabiq fatwa nahin tehreer farmaya hamisha sadaqat o haqqaniyat ka daaman thaamy rakkha.is raah men kabhi aap ny apny paraay,choty barry ka farq malhooz e khatir nahin rakkha.har muaamla men aap apny aaba o ajdaad ki raushan or taab naak riwayaton ki paas daari farmaaty rahy hen.shaikh e aalam hazrat allama syed shah fakhr ud deen ashraf al ashrafi kachochavi daamat barakatuhum ul qudsiya zeb sajjada kachocha muqaddasa tehreer farmaaty hen:
“allama(huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ka)har har haal men baad samoom ki tund o tez,ghazab naak aandhiyon ki zad men bhi istiqamat aala haq ka muzahira karna or sabit qadam rehna yeh wo azeem wasf hy jis ny mujhy kafi mutasir kiya.”
(tajalliyaat e taj ush shariah/safha:251)
Is silsila men 2 waqiaat darj zel hen.1986.e/1406.h men teesri martaba adaigi e haj k moqa par saoodi hakoomat ny aap ko bay ja giraftar kar liya us moqa par aap ny haq goi o bay baki ka jo muzahira kiya wo aap he ka hissa hy.saoodi mazalim ki mukhtasar se jhalak khud huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki zabani mulahiza farmaen:
“mukhtasar yeh k musalsal swalaat k ba wajood mera jurm mery baar baar poochny k baad bhi mujhy na btaya bal k yahi kehty rahy k:”mera muamla ahmiyat nahin rakhta.”kekin is k b awajood meri rihaai men takheer ki or baghair izhar e jurm mujhy madina munauwara ki hazri sy mauqoof rakkha or 11 dinon k baad jab mujhy jaddah rawana kiya gaya to mery hathon men jaddah air port tak hath karri pehnaay rakkhi or raasty men mujhy namaz e zuhar k liyay moqa bhi na diya gaya is wajah sy meri namaz e zuhar qaza ho gai.”
(mufti e azam hind or un k khulafa/safha:150/jild:01)
Zel k ashaar men huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ny usi waqiah ka zikr farmaya hy:
Na rakkha mujh ko taibah ki qafas men us sitam gar ny.
Sitam kaisa howa bulbul py yeh qaid e sitam gar men.
Sitam sy apny mit jao gy tum khud ay sitam gaaro.
Suno ham keh rahy hen bay khatar daur e sitam gar men.
saoodi hakoomat k is mutaassib rawaiya,huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki bay ja giraftari or madina taiyibah ki hazri sy roky jaany par poory aalam e islam men gham o ghussa ki leher dorr gai,mualmanaan e ahl e sunnat ki janib sy saari dunya men saoodi hakoomat k khilaf ihtijajaat ka silsila shuru ho gaya,akhbaraat o rasail ny bhi aap ki bay ja giraftari ki shadeed muzammat ki.aakhir kaar ahl e sunnat wa jamaat ki qurbaniyan rang laen,saoodi hakoomat ko sar jhukana parra,us waqt k saoodi farman rawa shah fahad ny london men yeh ailaan kiya k”haramain shrifain men har maslak k logon ko un k tareeqy par ibadaat karny ki aazadi ho ge.”us daur k pak o hind or arab dunya k akhbaraat gawah hen.nez saoodi hakoomat ny bhi aap ko ziyarat e madina taiyiba or umra k liyay aik maah ka khasoosi visa bhi diya.is muamla men qaid e ahl e sunnat hazrat allama arshad ul qadiri ki kawishen qabil e zikr hen.
Khalifa e sarkar mufti e azam hind allama badr ud deen ahmad qadiri alaihir rahmah huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki haq goi sy mutaalliq raqam taraaz hen:”imsaal hazrat sarkar khwaja ghareeb nawaz alaihir rahmah k salana urs pak k moqa par main ajmer muqadas hazir howa,chatwen rajab 1409.h baroz do shamba e mubarika (peer) mutabiq 13 february 1989.e ko hazrat syed ahmad ali sahib qibla khadim dargah sarkar khawja sahib k kashana par qul shareef ki mehfil munaqid hoi.mehfil men hazrat allama maulana akhtar raza azhari qibla madda zillahul aali or hazrat maulana mufti rajab ali sahib qibla sakin naan para behraich shareef nez deegar ulama e kiram maujood thy.qul shareef k is majma men sarkar sher besha ahl e sunnat imam ul munazireen huzoor maulana allma muhammad hashmat ali khan alaihir rahmat war rizwan k sahib zaady mulana muhammad idrees raza khan sahib taqreer kar rahy thy.asnaay taqreer men maulana mausoof ki zabaan sy yeh jumla nikla k:”hamary sarkar piyary mustafa sallallahu alaihi wa aalihi wasallam apny ghulamon ko apni kali kamli men chupaaen gy.”foran hazrat allama azhari sahib qibla ny maulana mausoof ko tokty howy farmaya k(klai kamli k bajaay) noori chaadar kaho.yeh sharai tambeeh sunty he maulana mausoof ny apni taqreer rok kar pehly hazrat allama azhari qibla ki tambeeh ko saraaha,baadahu bhary majma men yeh waazih kiya k “kamli” tasgheer ka kalima hy jis ko sarkar sallallahu alaihi wa aalihi wasallam ki nisbbat kar k bolna har giz jaaiz nahin or choon k meri zabaan sy yeh khilaf e shariat kalima nikla is liyay main bargah e ilaahi men is kalima k bolny sy tauba karta hon.allah taala mujhy muaf farmaay.(haaz aau kama qaal)phir tauba k baad mausoof ny apni taqreer poori ki.
(atyaa e rabbani dar maqala e noorani/safha:23,24)
Zohd o taqwa:
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah akhlaaq e hasana or sifaat e aaliya ka muraqqa hen.jahan hikmat o danaai,tahaarat o pakeezgi,bulandi e kirdar,khush mizaji o milansaari,hilm o burd bari,khuloos o lillahiyat,sharm o haya,sabr o qanaat,sadaqat o istiqamat bay shumar khoobiyan aap ki shakhsiyat men jama hen,wahen aap zohd o taqwa ka bhi mujassam paikar hen.aap k taqwa ki aik jhalak zel k waaqiqqt men mulahiza ki ja sakti hy.
Maulana ghulam moeen ud deen(pargana,maghribi bangal)likhty hen:”huzoor taj ush shariah alaihir rahmah sy hazrat peer syed muhammad tahir gilani sahib qibla bohat muhabbat farmaya karty un k israar par hazrat pakistan bhi tashreef lay gaay wahga sarhad par hazrat ka istqbal sadr e mumlikat ki tarah 7 topon ki salami dy kar kiya gaya.hazrat ka qayam un k aik azeez shukat hasan sahib k yahan tha.raasty men aik jagah naashta ka kuch intizaam tha jis men angrizi tarz k table lagy thy hazrat ny farmaya:”main paaon phaila kar khana tanawal nahin karon ga.”phir paaon samet kar sunnat k mutabiq usi kursi par baith gaay yeh sab dekh kar hazreen ka zor daar naara “baraili ka taqwa zinda baad” goonj parra.
(tajalliyaat e taj ush shariah/safha:255)
Maulana mansoor fareedi razavi(blaas poor,chattees garrh)hazrat k 1 safar ka haal bayan karty hen:”muhibb e mukarram hazrat hafiz o qari muhammad sadiq husain farmaty hen k hazrat taj ush shariah alaihir rahmah ki khidmat k liyay main mamoor tha.or apny muqaddar par naz kar raha tha k aik zarra e na cheez ko falak ki qadam bosi ka sharaf hasil ho raha tha k achanak meri nigah huzoor e wala(taj ush shariah) ki hatheliyon par parri main aik lamha k liyay tharra gaya aakhir yeh kiya ho raha hy meri nigahen kiya dekh rahi hen mujhy yaqeen nahin ho raha hy.aap to gehri neend men hen phir aap ki ungliyaan harkat men kaisy hen? Main ny mualana abdul waheed fateh poori jo us waqt wahan maujood thy or deegar afrad ko bhi is janib mutawajah kiya tamam k tamam hairat o istejab men doob gaay thay,muamla yeh hy k aap ki ungliyan is tarah harkat kar rahi then goya aap tasbeeh parh rahy hen or yeh manzar main us waqt tak dekhta raha jab tak aap bay daar nahin ho gaay.in tamam kifiyaat ko dekhny k baad dil pukar uthta hy k….
Soay hen yeh ba zahir dil in ka jaagta hy.”
(tajalliyat e taj ush shariah/safha:314)
Wali e ba karamat:
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah jahan aik ashiq e sadiq,ba amal alim,la sani faqeeh,ba kamal muhaddis,la jawab khateeb,bay misaal adeeb,konhna mashq shair hen wahen aap ba karamat wali bhi hen.kaha jata hy istiqamat sab sy barri karamat hy or huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki yahi karamat sab sy barh kar hy.zimnan aap ki chand karamaat pesh e khidmat hen.
Mufti abid husain qadiri(jamshed poor,jharr khand)likhty hen:
“22 june 2008.e muhibb e muhtaram janab qari abdul jalil sahib shoba e qiraat madrasa faiz ul uloom jamshed poor ny raqim ul haroof sy farmaya k :
“5 saal qabl hazrat azhari miyan qibla darul uloom hanafiya ziya ul quraan,lkhnau ki dastaar bandi ki aik confirance men khitab k liyay madou thy.un dinon wahan barish nahin ho rahi thi,sakht qahit saali k aiyaam guzar rahy thy,logon ny hazrat sy arz ki k huzoor barish k liyay dua farma den.hazrat ny namaz e istasqa parhi or duaen ken abhi dua kar he rahy thy k wahan mosla dhaar barish hony lagi or saary log bheeg gaay.
(tajalliyat e taj ush shariah/safha:229)
Doctor ghulam mustafa najm ul qadiri (mombai) likhty hen:
“maisoor men hazrat k aik mureed ki dukan k bazu men kisi mutaassib maar warri ki dukan thi,wo bohat koshish karta tha k dukan us k hath bech kar yeh musalman yahan sy chala jaay,apni is jiddo jahad men wo insaniyat soz harkaten bhi kar guzarta,akhlaqi hadon ko paar kar jata,majboor ho kar hazrat k us mureed ny hazrat ko phone kiya,halaat ki khabar de,muamlaat sy muttila kiya,hazrat ny farmaya:”main yahan tumhary liyay dua go hon,tum wahan har namaz k baad khusoosan or chalty phirty,uthty baithty,soty jaagty amooman “ya qadiru” ka wird karty raho.”is wazeefy k wird ko abhi 15 din he howa tha k na maloom us maar warri ko kiya howa,wo jo bay chaary muslaman ko dukan bechny par majboor kar diya tha ab khud usi k hath apni dukan bechny par achanak taiyaar ho gaya.maar warri ny dukan bechi,musalman ny dukan kharedi,jo shikar karny chala tha khud shikar ho kar reh gaya.aaj wo hazrat ka mureed bagh o bahar zindagi guzar raha hy.
(tajalliyat e taj ush shariah/safha:175,176)
Mausoof mazeed likhty hen:”habli men aik sahib ny karoron ropy k sarfy sy aalishan mahal taiyar kiya,magar jab sakoonat ikhtiyar ki to ghaarat gar e sakoon tajruba howa k raat men poory ghar men tez aandhi chalny ki aawaz aati hy.ghbra kar majbooran apna ghar chorr kar phir purany ghar men makeen hona parra.is asna men jis ko bhi bharry(kiraya) par diya sab ny wo aawaz suni or ghar khali kar diya.aik arsa sy wo ghar kahli parra tha k habli men hazrat ka programe tay howa,sahib e makan ny intizamiya ko is baat par razi kar liya k hazarat ka qayam mery naay kushada makan men rahy ga,mehman nawazi ki or deegar lawazimaat ki bhi zimma daari us ny qabool kar li,hazrat habli tashreef laay or raat men sirf chand ghanta us makan men qayam kiya,isha or fajr ki 2 rakaat namaz ba jamaat ada farmai,is mukhtasar qayam ki barkat yeh hoi k kahan ki aandhi or kahan ka toofan,kahan ki sansanahat or kahan ki garrgrrahat sab yaksar madoom,aaj tak wo makan sakoon o itminaan ka gehwara hy.
(tajalliyat e taj ush shariah/safha:176)
Tasaneef;
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah apny jadd e amjad mujaddid e deen o millat syeduna alahazrat razi allahu anhu k mazhar e atam or partaw e kamil hen.alahazrat alaihir rahmah ki tehreeri khidmaat or tarz e tehreer mohtaj e taarruf nahin hy.huzoor taj ush shariah alaihir rahmah maidan e tehreer men bhi alahazrat ka aks e jameel nazar aaty hen.aap ki tasaneef o tehqeeqat mukhtalif uloom o fanoon par mushtamil hen.tehqeeqi andaz,mazboot tarz e istadlaal,kasrat e hawala jaat,salasat o rawani aap ki tehreer ko shah kaar bana deti hy.aap apni tasaneef ki roshni men yagana e asar or fareed ud dahar nazar aaty hen.hazrat muhaddis e kabeer allama ziya ul mustafa azami daamat barakatuhum ul aaliya farmaty hen:”taj ush shariah k qalam sy nikly howy fatawa k mutaliah sy aisa lagta hy k ham alahazrat imam ahmad raza alaihir rahamah ki tehreer parh rahy hen,aap ki tehreer men dalail or hawala jaat ki bhar maar sy yahi zahir hota hy.”
(hayat e taj ush shariah/safha:66)
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ifta o qaza,kaseer tablighi asfaar or degar bay tahasha masroofiyaat k ba wajood tasneef o taleef ka silsila bhi jaari rakkhy rahy.aap ki qalmi nigarishaat ki fehrist darj zel hy.
Urdu
1.hijrat e rasool sallallahu alaihi wasallam
2.aasaar eqayamat(takhreej shuda)
3.taai ka masalah
4.hazrat ibraheem k walid taarakh ya aazar
5.tv or vedio ka opration maa sharai hukm
6.sharah hadees e niyat
7.suno chup raho(dauraan e tilawat”naara e haq nabi”ki mumaniaat)
8.difa e kanzul eman(2 jild)
9.al haqq ul mubeen
10.teen talaqon ka sharai hukm
11.kiya deen ki mohim poori ho chuki?(maqaala)
12.jashn e eid milad un nabi sallallahu alaihi wasallam
13.safina e bakhshish(dewan e shairi)
14.tabsira bar hadees iftiraaq e ummat
15.tasweer ka masalah
16.asmaay surah e fatiha ki wajh e tasmiya
17.al qaul ul faiq be hukmil iqtida bil fasiq
18.afzalyat e siddiq e akbar wa farooq e azam
19.saoodi mazalim ki kahani akhtar raza ki zabaani
20.al mawahib ur razavia fe fatawa al azhariya al maroof fatawa taj ush shariah
21.chalti train par farz o wajib namazon ki adaigi ka hukm
22.taqdeem(tajaliya tus silm fe masailil ilm,az alahazrat)
23.tarajim e quran men kanzul eman ki ahmiyat(ghair matbooah)
24.minha tul baari fe halli sahih bukhari
25.malfoozat e taj ush shariah
26.hashyah al motaqid al muntaqid
27.rooyat e hilal ka saboot
28.mutaaddid maqala jaat(matbooah/ghair matbooah)
29.aik ghalat fehmi ka izala
Arabi
30.al haqqul mubeen
31.as sahaba nujoomil aihtida
32.shrah hadees ul ikhlas
33.nabazah hayatil imam ahmad raza
34.hashyah aseeda tussh shuhdah sharah al qaseeda tul burdah
35.al fardah sharah al qaseeda tul burdah
36.hashyah al azhari ala sahih ul bukhari
37.tahqeeq anna aba syeduna ibraheem (taarah) la (aazar)
38.miraatun najdiyah be jawab al barailviyah(haqeeqah al barailviyah)
39.al qamhul mubeen li amaalil mukazzibeen
40.rooh ul foaad be zikra khir il ibaad(deewan e shairi)
41.nihayatuz zain fit takhfeef aan abi lahab yaum il isnain
42.saddul masharie ala mainy yaqu inad deen yastaghni aanish shaarie
Taareeb
43.barakaatil imdaad li ahlil istimdaad
44.fiqh e shahansah
45.aataya al qadeer fe hukmit tasweer
46.salatis safa be noor il mustafa
47.taiseer il maoon li sukni fit taoon
48.shmoolil islam le usoolir rasoolil kiram
49.qawarie il qahhaar fir radd il mujassimah til fujjaar
50.al haad il kaaf fe hukmid duaaf
51.subhan us subuh aan aib e kizb e maqbooh
52.damaan e baagh subhan us subooh
53.anhil akeed
54.hajiz il bahrain
55.ahlaakil wahabeen aala tauheen il quboor il muslimeen
56.al qamaril mubeen
57.fatawa razviyah(jild awwal)
Tarajim
58.anwaar ul mannaan fe tauheed il quraan
59.al motaqid al muntaqid maa al motamid al mustanid
60.az zulaal un nuqa min bahr e sabaqat il atqa
61.qaseedataan e raaitaan(ghair matbooah)
62.aataya al qadeer fe hukm it tasweer(arabi ibaraat ka tarjumah)
63.fazeelat e nasab(iraatil adab le faadlin nasab)
English
64.aasaar e qayamat
65.azhar ul fatawa(few eng.fatawa)
66.taai ka masala
67.a just answer to the beased author
68.the companions are the stars of guidance
69.of pure origin (on the identity of prophet ibrahim’s father)
70.the pinnacle of beauty
71.on the lightning of abu lahab’s punishmint each monday
Arabi adab:
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah arabi adab par bhi kamal maharat or mukammal dastaras rakhty thy aap ki arabi tasaneef bil khusoos taaleeqaat e zaahira (sahih al bukhari par ibtida ta baab ul bunyaan ul kaaba aap ki giraan qadar taaleeqqat)or syeduna alahazrat ki jin kutub ki aap ny taareeb farmai hy hamary bayan ki baiyen daleel hen.huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki arabi zaban o adab par kamil aboor ka andaza syeduna alahazrat k risala “shamool il islam le usool ir rasool il kiram” (jis ki taareeb aap ny farmai hy) or aap k risala “anna aba syeduna ibraheem taarah la aazar”par ulama e arab ki shandaar taqareez or huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ko diyay gaay alqabaat o khitabaat sy kiya ja sakta hy.
Hazrat shaikh abdullah bin muhammad bin hasan bin fadaaq hashmi (makkah mukarramah) farmaty hen:
“tarjumah:yeh kitab nihayat mufeed o aham mabahis or mazameen aaliyah par haavi hy,talaba o ulama ko is ki ashad zaroorat hy.”
Aap huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ko in alqaab sy mulaqqab karty hen:
“fazeelat ul imam ash shaikh muhammad akhtar raza khan al azhari,al mufti e azam fil hind,sallamakumullahu wa barik feekum.”
Doctor shaikh eesa ibn e abdullah bin muhammad bin maanie humairi (sabiq director mehekma e auqaf o umoor e islamiyah dubai wa principle imam malik collage baraay shariat o qanoon dubai)dhaai safhaat par mushtamil apny tasuraat k izhar k baad farmaty hen:
“ash shaikh al aarif billahil muhaddis muhammad akhtar raza al hanafi al qadiri al azhari.”
Hazrat shaikh moosa abdudhu yousuf ishaqi (mudarris fiqh o uloom e sharaiya,nisabat ul ashraaf al ishaqiya ,somaliya) mahw e tehreer hen;
“ustaz ul akbar taj ush shariah fazeelat ush shaikh muhammad akhtar raza,nafanallahu be ullomihi wa barik fehi wala ajab fe zalika fainnahu fe baiti bil ilmi maarif wa bil irshadi mausoofi wa fe hazal baabi qaadati aalaam.”
Hazrat shaikh wasiq fawad al ubaidi (mudeer saanwiya ash shaikh abdul qadir al jelani)apny tasuraat ka izhar yon karty hen:
“tarjuma: hazrat taj ush shariah ki yeh tahqeeq jo shaikh ahmad shakir muhaddis e misr k rad men hy quran o sunnat k ain mutabiq hy aap ny is tahqeeq men jehd emusalsal or jaan fishani sy kaam lia hy main ny is k masadir o marajiah ka mutaliah kia to tamam hawala jaat quran o hadees k adallah e aqliya wa naqliya par mushtamil paay,or mashhor aalaam maslan imam subki,imam suyooti,imam razi or imam aaloosi waghaira k aqwaal naqal kiyay hen.”
Or aap huzoor taj us shariah ka tazkira in alfaaz men karty hen:
”Shaikhunal jaleel,sahib ur raad e qaatie,murshid us salikieen,al mahfooz br riaayati rabbil aalameen,al alim fazil muhammad akhtar raza khan al hanafi al qadiri al azhari wa jazaukhairi ma ujazi abd e ameeni ibadihi.”
Hazrat mufti e azam iraq shaikh jamal abdul kareem ad dabaan huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ko in alqabaat sy yaad karty hen :
”Al imam al allama tul qudwah sahib ul fazeelah ash shaikh muhammad akhtar raza al hanafi al qadiri adamahullahu wa hafizahu wa nafa ul muslimeena be barakati.”
Ilm e hadees:
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah is maidaan k bhi shah sawar hen.ilm e hadees 1 wasee maidaan,mutaadid anwaa,kasrat e uloom or mukhtalif fanoon sy ibarat hy jo ilm e qawaid,mutalihat e hadees,darasatul asaaneed,ilm e asmaa ur rijaal,ilm jarh o taadeel wa ghair ham uloom o fanoon par mushtamil hy.ilm e hadees men huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki qudrat e tammah,liaqat e aammah.faqahat e kamilah,aalimana shaoor,naqidana baseerat or muhaqqiqana shan o shokat ilm e hadees sy mutaalliq aap ki tasaneef ”shrha hadees ul akhlaads”(arabi),sharha hadees e niyat(urdu),”as shabati nujoomil aihtada”,”taleeqat ul azhari aala sahih ul bukhari”,”aasaar e qayamat”sy khusoosan wa deegar kutunb sy aamooman aashkaar hy.maulana muhammad hasan azhari(jamia tul azhar,misr)raqam taraaz hen:
”Ashabi kan nujoomi…alkh k taalluq sy huzoor taj ush shariah madda zillahul aali ny jo tahqeeqi muraqqaa pesh kia hy us sy ba khoobi andaza lagaya ja sakta hy k usool e hadees par huzoor taj ush shariah ko kis qadar malikah hasil hy.”
(tajalliyat e taj ush shariah.safha 386)
Mufti muhammad saleem barailvi madda zillahul aali mudarris darul uloom manzar e islam wa mudeer e aizazi mahnama alahazrat baraili shareef “as sahabati nujoomil aihtada”sy mutaalliq likhty hen:
“fan e hadees or us k mutaalliqa fanoon men sarkar taj ush shariah alaihir rahmah ki agar maharat e taammah dekhna ho to dallel k taur par yahi mukhtasar risala he kafi hy.aap ny is risaly men”naqad rijaal” k taalluq sy jo fazilana bahas ki hy usy dekh kar yeh yaqeen ho jata hy k bila shuabah aap waris e uloom e alahazrat thy.agar kisi ny syedi sarkar alahazrat razi allahu taala anhu k fan e hadees sy mutaalliq mabahis o rasail khas kar “al haad al kaaf”,”taqbeel ul abhameen”,”hajiz ul bahrain”or”shmaim ul ambar”jaisy rasail ka mutaliah kia hy to wo “as sahabati nujoomil aihtida” parh kar zaroor yeh natija akhz kary ga k is risaly ki har bahas,us ki har bahas ki har satar or us k har har lafz men syedi sarkar alahazrat,sarkar hujjatul islam,sarkar mufti e azam hind or sarkar mufassir e azam hind k uloom o fanoon k jalwy nazar aaty hen.
Sarkar taj ush shariah alaihir rahmah ny salfi zehen rakhny waaly muaasir muhaqqiqeen ka jis andaz men rawayatan or darayatan taaqqub kia hy wo aap he ka hissa hy.is hadees par ilzam e wazaa ko aap ny 7 wajoohaat sy dafaa farmaya hy.”
(mahnama alahazrat baraili shareef september,october 2018 taj ush shariah number safha.60,61)
Tarjuma nigari:
tarjuma nigari intahai mushkil fan hy.tarjuma ka matlab kisi bhi zabaan k mazmoon ko is andaz sy doosri zabaan men muntaqil karna hy k qari ko yeh aihsaas na hony paay k ibarat bay tarteeb hy ya us men pewan kaari ki gai hy.kama haqqahu tarjuma karna intahai mushkil amr hy.is men 1 zabaan k maani or matalib ko dossri zabaan men is tarah muntaqil kia jata hy k asal ibarat ki khoobi or matlab o mafhoom qari tak sahi salamat pohanch jaay.yani is baat ka poora khayal rakkha jaay asal ibarat k na sirf poory khayalaat o mafaheem bal k lehja o andaz, chaashni o mithaas,jazibiyat o dil kashi,sakhti o durushtagi,bay kaifi o bay rangi usi aihtiyaat k sath aay jo muharrir ka munsha hy or phir zabaan o bayaan ka mieyaar bhi naqal ba mutabiq asal ka misdaaq ho.
Ilmi o adabi tarjumy to sirf dunyawi aitibaar sy dekhy jaaty hen lekin deeni kutub khas kar quraan o hadees ka tarjuma intahai mushkil or diqqat talab amar hy.yahan sirf fan tarjuma ki sakhtiyan he dar pesh nahin hoten bal k sharai aitibaar sy bhi i ntahai khatra la haq rehta hy k kahen asal maani men tahreef na ho jaay k sara kiya dhara barbad or dunya o aakhirat men sakht mawakhiza bhi ho.is ka andaza wahi kar sakta hy jis ka is sy wasta parra ho.
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah jahan deegar uloom o fanoon par mukammal uboor or kamil maharat rakhty hen wahen tarjuma nigari k maidaan men bhi aap apni misaal aap hen.huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki tarjuma nigari sy mutaalliq nabira e muhaddis e azam hind shaikh e tareeqat allama syed muhammad jeelani ashraf al ashrafi kachochawi damat barakatuhum aaliya ka yeh tabsira mulahiza farmaen:
“ary piyary! “al motaqid wal muntaqid” fazil badayoni ny or us par hashiyah “al motamid al mustanid” fazil barailvi ny arabi zabaan men likha hy or jis mudarija bala iqtibaas ko ham ny parha usy ahl e sunnat ki nai nasal k liye taj ush shariah mailkul fuqaha hazrat ul aalaam akhtar raza khan azhari sahib ny in donon akabireen k adaq muba his ko aasaan or fehem sy qareeb usloob sy muzaiyan aisa tarjuma kia k goya khud un ki tasneef hy.”al motamid” k tarjuma men agar 1 taraf saqahat o salabat hy to doosri taraf diqqat e nazar o hama geeryat bhi hy.sihat o quwat k sath pukhtagi o maharat bhi hy.tarjuma mazkoorah allama azhari miyan ki arfaa salahiyaton ka zinda saboot hy.allah humma zid fa zid.”
)tajalliyat e taj ush shariah.safha.43)
Waaz o taqreer:
Walid majid huzoor taj ush shariah mufassir e azam hind allama mufti ibraheem raza khan jeelani miyan razi allahu anhu ko qudrat ny zor e khitabat o bayan wafaar miqdaar men ata farmaya tha or huzoor taj ush shariah ko taqreer o khitab ka malika apny walid majid sy mila hy.aap ki taqreer intahai moassar,nihayat jaamy,pur maghaz,dil pazeer,dalail sy muzaiyan hoti hy.urdu to hy he aap ki madri zabaan magar arabi or angrezi men bhi aap ki maharat ahl e zabaan k liye bais e hairat hoti hy.is ka andaza hazrat muhaddis e kabeer allama ziya ul mustafa azami damat barakatuhum ul aaliya k is bayan sy ba asani kia ja sakta hy aap farmaty hen:
“allah taala ny aap ko kai zabaanon par malika e khas ata farmaya hy.zabaan urdu to aap ki gharailu zabaan hy or arabi aap ki mazhabi zabaan hy.in donon zabaanon men aap ko khusoosi malikah hasil hy .arabi k qadeem o jadeed asloob par aap ko malika e rasikh hasil hy.main ny england,amrica,south afriqa,zambaabwy waghaira men bar jasta angrizi zabaan men taqreer o waaz karty dekha hy or wahan k taleem yafta logon sy aap ki tareefen bhi suni hen or yeh bhi un sy suna k hazrat ko angrizi zabaan k kalaseeki asloob par uboor hasil hy.”
(tajalliyat e taj ush shariah.safha.47)
Shairi:
Bunyadi taur par naat goi ka muharrik ishq e rasool hy or shair ka ishq e rasool jis aamqa or paay ka ho ga us ki naat bhi utni he pur asar o pur soz ho gi .syeduna alahazrat razi allahu anhu k ishq e rasool ny un ki shairi ko jo imtiaz oinfiradiyat bakhshi urdu shairi us ki misaal laany sy qasir hy.aap ki naatiyah shairi ka aitiraaf is sy barh kar kar kia ho ga k aaj aap dunya bhar men “imam e naat goyaan” k laqab sy pehchany jaaty hen.
Imam ahmad raza ki is tarz e la jawab ki jhalak aap k khulafa o mutaalliqeen or khandan k shuara ki shairi men nazar aati hy.huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ko khandan or khusoosan alahazrat sy jahan or bay shumar kamalaat wirsa men mily hen wahen mozooni e tabaa,khush kalami,sheir goi or shairana zauq bhi wirsa men mila hy.aap ki naatiya shairi syeduna alahazrat k kalam ki gehraai o geeraai,ustad e zaman ki rangeeni o rawani,hujjat ul islam ki fasahat o balaghat,mufti e azam ki saadgi o khuloos ka aks e jameel nazar aati hy.aap ki shaairi maanwiyat,paikar tarashi,sar shari o sheftagi,fasahat o balaghat,halawat o malahat,jazb o kaif or soz o gudaaz ka nadir namoona hy.
Allama abdun naeem azeezi raqam taraaz hen:
“hazrat allama akhtar raza khan sahib akhtar k aik aik sheir ko parhny k baad aisa mahsoos hota hy k husn e maani husn e aqeedat men zam ho kar sarmadi naghmon men dhal gaya hy.zabaan ki salasat or rawani,fasahat o blaghat,husn e kalam,tarz e ada ka baank pan,tashbeehaat o istaaraat or sananaay lafzi o maanvi sab kuch hy goya husn he husn hy,bahar he bahar hy or har naghma wajh esukoon o qaraar hy.
(naghmaat e akhtar.al maroof safina e bakhshish.safha.04)
Hazrat allama badr ud deen ahmad qadiri alaihir rahmah syeduna aalahazrat alaihir rahmah ki shaairi sy mutaalliq tahreer farmaty hen:”aap aam arbab e sukhan ki tarah har subh sy sham tak ashaar ki taiyari men masroof nahin rehty thy bal k jab piyary mustafa sallallahu alaihi wa aalihi wasllam ki yaad tarrpati or dard e ishq aap ko bay taab karta to az khud zabaan par natiyah ashaar jari ho jaty or yahi ashaar aap ki sozish e ishq ki taskeen ka samaan ban jaaty.
( sawanih e aalahazrat.safha.385)
Be ainihi yahi haal huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ka tha,jab yaad e mustafa sallallhu alaihi wa aalihi wasallam dil ko bay chain kar deti the to bay qaraari k izhar ki surat naat hoti thi.aap ny apni shaairi men jahan sharai hudood ka lihaz rakkha hy wahen fanni wa aroozi nazakaton ki muhafizat men koi daqeeqa faro guzaasht na hony diya or adab ko khoob barta,istimaal kiya,sajaaya,nibhaya ta k jab yeh kalam tanqeed nigaron ki chamakti mez par qadam ranja ho to unhen yeh sochny par majboor kar dy k fikr ki yeh jolaani,khayal ki yeh buland parwaz,taabeer ki yeh nudrat,ishq ki yeh halawat waqaai aik kuhna mashq or qadir ul kalam shaair ki azeem salahiyaton ki mazhar hen.fan e shaairi,zabaan o bayan or adab sy waqfiyat rakhny wala he yeh andaza kar sakta hy k hazrat akhtar barailvi k kalam men kin kin nukat ki jalwa samaaniyaan hen,kaisy kaisy haqaiq posheeda hen,kalimaat ki kitni ranaaiyaan pinhaan hen or kahyalaat men kaisi wusaat hy.
Aap kakalam agar chy tadaad men ziyada nahin hy lekin aap k ishq e rasool sallallahu alaihi wa aalihi wasallam ka mazhar,sharai qawaneen ki paas daari ki shandar misal hy,aap k aslaf ki azeem warasaton ka behtareen namoona or urdu shaairi khusoosan sinf e naat men giraan qadar izafa bhi hy,chand ashaar mulahiaza kijyay.
Is taraf bhi aik nazar mehr e darkhshan e jamal.
Ham bhi rakhty hen bohat muddat sy arman e jamal.
Wajh enishaat e zindagi rahat e jaan tum he to ho.
Rooh e rawaan e zindagi rahat e jaan tum he to ho.
Mustafaay zaat e yakta aap hen.
Yak ny jis ko yak banaya aap hen.
Jaan toi jan e qaraar e jaan tui.
Jaan e jaan jaan e maseeha aap hen.
Noor k tukrron py un k badr o akhtar bhi fida.
Marhaba kitni hen piyari un ki dilbar airriyaan.
Tabassum sy gumaan guzry shab e tareek par din ka.
Har shab e hijr lagi rehti hy ashkoon ki jhari.
koi mausam ho yahan barsat ki raat.
Mujhy kiya fikr ho akhtar mery yawar hen wo yawar.
Balaaon ko jo meri khud giraftar e bala kar den.
Aap ko naay lab o lehja or fil badeh ashaar kehny men zabar dast malikah hasil hy.is ka andaza jisy khalifa e mufti azam hind hazrat maulana qari amanat rasool qadiri razavi sahab murattib”samaan e bakhshish”(naatiyah deewan sarkar mufti azam hind alaihir rahmah)ny mufti e azam hind ki mashhor naat shareef .
Tu shmaay risalat hy alam tera parwana.
Tu maah e nubuwat hy ay jalwa e janaana.
Sy mutaalliq hashiyah men likhty hen:”molvi abdul hameed razavi afreeqi yeh naat pak huzoor mufti e azam hind qibla quddisas sirruhu ki majlis men parh rahy thy,jab yeh maqtaa .
Aabad usy farma weeraan hy dil e noori.
Jalwy tery bas jaaen aabad ho weerana.
Parha to hazrat qibla ny farmaya,be hamdihi taala faqeer ka dil to raushan hy ab is ko yon parho.
Aabaad isy farma weeraan hy dil e najdi.janasheen e mufti e azam hind mufti shah akhtar raza khan sahib qibla ny bar jastah arz kiya,maqtaa ko is tarah parh liya jaay.
Sarkar k jalwon sy raushan hy dil e noori.
Ta hashr rahy raushan noori ka yeh kashana.
Hazrat qibla(sarkar mufti e azam quddisa sirruhu)ny pasand farmaya.”
(samaan e bakhshish)safha.154)
Huzoor taj ush shariah or ulamaay arab:
Syeduna alahazrat razi allahu anhu ko izzat o takreem or alqabaat o khitabaat.ulama e arab ny diyay hen shayad se kisi doosray ajami alim e deen ko mily hon.be ainihi partaw e alahart huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ka jo aizaz o ikram ulamaamy arab ny kiya shayad he fe zamana kisi ko naseeb howa ho.is k chand namoony “ilm e hadees” k unwan k tahat guzry hen baaz yahan mulahiza farmaen.
May 2009 men huzoor taj ush shariah alaihir rahmah k daura e misr k moqaa kaaba tul ilm wal.ulama “jamiah tul azhar”qahira,misr men aap k aizaz men azeem ush shan confirance munaqid ki gai.jis men jamiah ki jaiyed asatazah or dunya bhar sy taalluq rakhny waly talaba ny shirkat ki.is confirance ki infiradiyat yeh thi k barr e sagheer k kisi alim e deen k aizaz men apni noieyat ki yeh pehli confirance thi.
Isi daura e misr k moqa par jamiah tul azhar ki janib sy aap ko jamiah ka aala tareen aizaz “shukr o taqdeer” bhi diya gaya.
Jaiyed ulama e misr khusoosan shaikh usra rushdi(mudarris bukhari shareef,jamiah tul azhar) ny aap k dast e haq parast par baiaat bhi ki or ijazat e hadees o salasil bhi talab ken .
Huzoor taj ush shariah alaihir rahmah k rasail “as sahabati nujoomil aihtada”or “inna aba syeduna ibraheem alaihais salam tarakh la aazir”k mutaliah k or aap sy guft o shuneed k baad “jamiah tul azhar”qahira misr k shaikh ul jamiah allama syed muhammad tantavi ny apnay sabiqa moaaqif sy ruju kiya or huzoor taj ush shariah alaihir rahmah k moaqqif ko qabool farmaya.qabl azeen aap ka moaqqif us k bar aks tha aap mazkoorah hadees ko mozu khayal karty thy or “aazir”jo ibraheem alaihis salam ka chacha or mushrik tha ko aap alaihis salam ka walid qarar dety thy.
(ba hawala seh mahi safeena e bakhshish ,rabi us sani ta jamadi us sani 1430.hijri.safha no.34)yaad rahy yeh huzoor taj ush shariah ka “jamia tul azhar”sy sanad.e.faraghat k husool k baad yeh pehla dora tha.darmiyaan k 43 saalon men kisi qism ka koi rabtah nahin howa.
2008 or 2009 men sham k dauron k moqa par mufti e damishq shaikh abdul fattah al bazm ,aalam ulamaay sham shaikh abdur razzaq halabi,qazi ul quzzat hams (sham)or hams ki jamiah masjid”jamy syeduna khalid bin waleed “k imam o khateeb shaikh saeed al kaheel,mashhor shami buzurg alim e deen shaikh hashsham ud deen al burhani,jaleel ul qadr alim e deen shaikh abdul hadi al kharsah,khateeb e damishq shaikh as syed abdul aziz al khateeb al hasani,rukun majlis e ash shob (natonal assebly)wa mudeer shoba e takhassus jamiah abul noor,daktoor abdus salam raajei,mashhor shami alim wa muhaqqiq shaikh abdul hadi ash shinaar,mashhor hanafi alim or muhashshi kutub kaseera shaikh abdul jaleel ata wa deegar kai ulama ny salasil e tareeqat wa sanad e hadees talab ki or kai aik aap sy baiaat bhi howy.
2008 men aap ny sham k ulama k saamny jab apna amashhor zamana arabi qaseedah.
Allah allah allah hu.
Mali rabbun illa hu.
Parha.jab aap ny maqtaa
Haaza akhtar o adnaakum.
Rabbi ahsanu maswahu.parha to kahteeb damishq al daktoor abdul aziz al khateeb al hasani ny bar jastah yeh alfaaz kahy.
“akhtar o syeduna wa ibn e syeduna.”
Mufti e damishq abdul fattah al bazm ny 2009 men huzoor taj ush shariah alaihir rahmah k daurah e sham k moqa par apni aik taqreer men apny baraili shareef k safar ka tazkirah karty howy farmaya: jab main ny aap(huzoor taj ush shariah alaihir rahmah) sy muhabbat karny walon ko dekha to mujhy sahaba ki muhabbat ki yaad taaza ho gai k eman yeh kehta hy k apny asatazah or mashaikh ki isi tarah qadr karni chahiyay.”
Maulana kaleem ul qadiri razavi (boltan,england)2008 k daurah sham ki roidaad men likhty hen.”usi din fakhr e saadaat,sahib e alqabay e kaseerah azeem roohani shakhsiyat syeduna moosa al kazim k shah zaady ash shaikh as subah tashreef laay.aap ny farmaya k chand ros qabl main is ilaaqy k qareeb sy guzra to mujhy yahan anwaar nazar aay main samajh gaya k yahan koi wali ullah muqeem hen,maloomaat karny par pata chala k hazrat tashreef laay howy hen to mulaqaat k liyay hazir howa.
(tajalliyaat e taj ush shariah.safha 566,567)
Wisal e ba kamal.
Murshid e kareem huzoor taj ush shariah rahmatullahi alaihi kafi arsy sy alalat ka shikar thy.wisal sy 4 din qabl tabiat na saaz hony k sabab haspatal ly jaya gaya,2,3 din haspatal men rehny k baad baroz jumyrat hazrat ki haspatal sy ghar tashreef aawari hoi,tabait kafi behtar thi.baroz jumuah bad namaz asr chaay nosh farmai,dalail ul khairaat suni or parhi.baad azaan allama ashiq husain kashmiri sahib qibla(damaad shazada e huzoor taj ush shariah allama mufti asjad raza khan qadiri daam zillahu ai]laina)huzoor taj ush shariah ko namaz maghrib k liyay taza wuzu karrany ki taiyari karny lagy.isi dauraan hazrat ki saans phoolny lagi,janasheen e taj ush shariah allama asjad raza khan qadiri daam zillahu alaina k hukm par hazrat ko bistar par lita dia gaya.letty he hazrat ny “ya allah”,”allahu akbar” ka wird shuru farma dia,jab ziyada aawaaz ounchi hoi to allama ashiq sahib qibla ny arz ki.”abba!seeny men dard ho raha hy ?”farmaya:”nahin.”phir”ya allah” ka wird karty rahy.ain waqt e ghuroob(7 baj kar 9 minat par baraili shareef men)hazrat ny waqt daryaaft farmaya.allama ashiq sahib qibla ny arz ki:”7 k aas paas ho raha hy.”udhar moazzin ny aazaan shuru ki or aap ki rooh e mubarika apny parwardigaar ki baar gaah men hazir ho gai.
Is dauraan janasheen e huzoor taj ush shariah allama asjad raza kahn qadiri daam zillahu alaina ny “istethiscop” sy dil ki dharrkan chaik ki,hazrat k buland aawaz sy zikr farmaany k sabab sunai na de,phir alaictronik masheen sy blood prishar jaanchny ki koshish ki lekin us ka nateeja dikhaany sy qabl he hazrat apny mahboob ehaqiqi sy ja mily.is sy qabl bhi kai martaba saans phooli thi lekin sahi ho jaya karti thi.as liyay hazireen men sy kisi ka dhiyaan bhi is taraf nahin gaya k yeh hazrat ki aakhri saansen ho sakti hen.
Yaani huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ny shab e hafta 7 zee.qada 1439 hijri.20 july 2018. Essavi ko wisal farmaya.maujooda ahl e khana abhi sahi taur par halaat ko samajh bhi na paay thy,lamhon men muhallah saudagraan logon sy bhar gaya.til dharny ki jagah na rahi.hazrat ko makaan k bahir waaly kamry men muntaqil kia gaya,hafta ki sari raat,poora din or itwar ki sari raat ziyarat ka silsila chalta raha log meelon door tak qataar banaay murshid e kareem k deedar k liyay kharry rahy.
Wisal e pur malaal ki khabar wahshat angez lamhon men dunya bhar men phail gai or musalmanaan e ahl e sunnat gham o alam ki tasweer nazar aany lagy.na sirf shher e baraili,hindusytan bal k dunya bhar sy jis sy mumkin howa janazah men shirkat k liyay chal parra.
Baroz itwar 8 zee.qada 1439 hijri 22 july 2018 esaawi namaz fajr awwal waqt men ada ki gai or aap ki rihaish gaah”bait ur raza” men ghusl dia gaya.ghusl k faraiz janasheen e huzoor taj ush shariah hazrat allama mufti asjad raza khan,shzada e ameen e shariat salman miyan sahib,damaad e taj ush shariah burhan miyan sahib,jigar gosha e muhaddis e kabeer allama jamal mustafa sahib,allama ashiq husain sahib,syed kaifi,muhammad arif nepali(khadim huzoor taj ush shariah)ny anjam diyay.ghusl k baad takfeen ka marhala tay howa.”al harfula hasan” men alahazrat ny jo duaen naqal farmai hen un ko kaprry k 1 tukrry par likh kar seeny par rakkah gaya,hazrat k sar e mubarak par imama shareef sajaya gaya.
Badahu janaza mubarika bahir aangan men(jahan daur e alahazrat sy he 12wen shareef ki mahfil ka aihtimam hota hy)rakkha gaya or mahfil e naat shuru hoi .taqreeban 8:30 bajy janaza gaah(islamia inter collage ground)ly jaany k liyay pehly sy taiyar shuda garri ko darwazy sy laga kar us men janaza muntaqil kar dia gaya,ahl e khana sawaar howy or tay shuda raasty sy hota howa yeh qafila apny shaikh k sath islamia k liyay rawana howa.had sy ziyada bheer k sabab janaza gaah pohanchny men derrh sy 2 ghanty lagy or janaza ground k andar ly jaany k bajaay bahir road par he janib e qibla ly jaya gaya or wahen namaz e janaza ada ki gai.
Imamat k faraiz janasheen e taj ush shariah ny anjam diyay,kasrat e isdhaam k sabab namaz janaza garri he men is tarah ada ki gai k musallah e imamat par huzoor asjad miyaan sahib or un k peechy garri he men 5,6 logon ki saf bana di gai or baqi logon ny neechy zameen par reh kar iqtida ki.alahazrat ny risala “al minnatul mumtazah” men jitni duaen tahreer farmai hen huzoor asjad miyaan ny wo tamam duaen parrhen.
Namaz e janaza baroz itwar subh tareeban 11 bajy ada ki gai,us k baad 1 ghanty sy kuch ziayada waqt men yeh qafila dobara usi shan sy muhallah saudagraan ponhcha.12:30 bajy aap ki tadfeen azhari gest house aqab mazar e alaharat,baraili shareef men amal men aai.palang sy haji iqbal shekhani,syed kaifi,muhammad yousuf,allama ashiq husain kashmiri or kuch deegar logon ny uthaya phir janasheen e taj ush shariah,jigar gosha e ameen e shariat salman miyaan sahib or damaad e taj ush shariah burhan miyaan sahib ny qabr men apny hathon sy utara,phir yeh teenon hazraat qabr sy bahir aay or qabr ko band kar k mitti di gai or fatiha khwani ka silsila shuru howa.
In 2 dinon(hafta or itwar)baraili shareef men mamoolaat e zindagi taqreeban moattal rahy,khusoosan baroz itwar,or bil khusoos janaza e mubarika ko janaza gaah tak laaty or ly jaaty waqt yeh aalam tha k muslim to muslim,ghair muslimon k gharon ki chaten tak logon sy bhari hoi then.raasty bhar janaza e mubarika par ghair muslim bhi gul paashi karty rahy,sheher men kafi muqamaat par unhon ny bhi peeny or wuzu k pani ka intizam kar rakkha tha bal k or un k ghar k aas paas koi gir kar bay hosh ho jata to utha kar apny ghar laaty or us k hosh men aany tak us ka bhar poor khayal rakhty.
Allah walon ki baaten qalam o qirtaas sy ma wara hen.wali e kamil huzoor taj ush shariah alaihir rahmah ki zaat wo aaina thi jis k bay shumaar zawiyay or har zawiya hazaron jahton par mushtamil tha .jin ka tazkara na mery bas ki baat hy na he is mukhtasar sy mazmoon men mumkin hy.main biradar e tareeqat maulana mansoor fareedi razavi k in alfaaz parmazmoon ka ikhtitaam karta hon k:”masdar e ilm o hikmat,paikar e jaam e ulfat,siraj e bazm e tareeqat,waris eilm e mustafa,mazhar e ilm e raza,meer e bazm e asfiya,sahib e zuhd o taqwa,aashiq e shah e huda,ghulam e khair ul wara,hamil e ilm e nabaviya,syedi aaqaai huzoor taj ush shariah hazrat allama maulana mufti al haaj ash shah akhtar raza khan azhari madda zillahul noorani us azeem shaksiyat ka naam hy jin ki zindagi k kisi 1 gosha par agar sair hasil guftugu ki jaay to main samajhta hon k hazaron safhaat ki zaroorat hy.”
(tajalliyaat e taj ush shariah.safha:311)
Allah kareem un ki barakaat sy hamen mutamatty farmaay or un k naqsh eqadam ki pairavi ki taufeeq marhamat farmaay.aameen be hurmati syedil mursaleen sallallahu alaihi wa aalihi wasallam.